"Mujey muhabaton sey kuch mila nahi,
"Mujey kisi sey bhi koi gila nahi,
"Meri zindagi hai
aisa uljha hua sawal?
"Jo Aaj tak kisi sey suljha nahi,
"Meri zaat sey kisi ko takleef ho,
"Mai ney to kabi ye chaha nahi,
"Har ek ney mujh hi ko dard diya,
"Mera dard to kisi ney samjha nahi,
"Kyun mai raston ko ilzaam don?
"Mera hamsafar hi merey sath chala nahi,
"Mai usko Bewafa sa lagta hu,
"Jisey khud wafa ka pata nahi.
0 comments:
Post a Comment